Pyaar ( For those who r in love )...

Friday, October 02, 2009 Edit This 11 Comments »

Jab Dil khila-2 sa lage to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Mann gungunna lage to jaaniye ki pyaar hain..

Jab Jubaan sath na de to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Aankhein bhi bolne lage to jaaniye ki pyaar hain..

Jab Uska hi intejaar ho to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Har waqt wo jehan mein ho to jaaniye ki pyaar hain..

Jab Saath suhaana lage to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Uski baatein pyaari lage to jaaniye ki pyaar hain..

Jab Badan mehakne lage to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Khwab mein bhi wo dikhe to jaaniye ki pyaar hain..

Jab Aaine(mirror) se lagaav ho to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Sajna sawarna acha lage to jaaniye ki pyaar hain..

Jab Har pal sadiyo sa lage to jaaniye ki pyaar hain..
Jab Parchaai mein bhi wo dikhe to jaaniye ki pyaar hain..
to jaaniye ki pyaar hain ..
to jaaniye ki pyaar hain ..

P.S 1 : Everything written above is not related to me in any way.
P.S 2 : Above poem is the after effect of hearing ' Kavi Sammelan '.